|
InsaanouN ki Kismat – AasmanouN kay Faislay by Moizullah Tariq Malik ******************************************* Roman Version courtesy Sahar Sayed |
Kaha jaata hai kay joRay aasmamouN pay buntay haiN. Ess per sachai ki mohr laganay kay liay bohat si qissay kahaniaaN paRhnay mai aati haiN. Bachpan mai paRhi hoe eik qadeem cheeni kahani mujhay aaj bhi yaad hai jis mai ek shakhs ko eik farishta milta hai jo uss shakhs ko uss ki koe si eik khuwahish poori karnay ka undia zahir karta hai. Jis per wo shakhs usay kayhta hai kay mai nai sunna hai kay joRay aasmanouN pay buntay haiN. Farishta asbaat mai sir hilata hai to wo shakhs kayhta hai kay mai uss laRki ko dekhna chahta hoon jisay mairay liay wajood mai laya gaya hai. Farishta ussay saath lay kar ek dusray shehr jaata hai aur eik dukaan per apnay baap kay saath baiTthi huwe bachi ki taraf ishara kar kay kayhta hai kay yea wo laRki hai jis ka joRa uss kay saath banaya gaya hai. Jab farishta chala jaata hai to wo shakhs souchta hai kay agar wo ess laRki ko khatam kar day ga to phir uss ki shaadi ess laRki say na ho paae gi aur yea kaam ussay youN bhi aasan nazar aata hai kay iss sheher mai koe ussay jaanta payhchanta nahi. Aglay roz wo kulhaRa lay kar aata hai aur uss laRki per kulhaRay say barphoor war karta hai. Mar dia mar dia kay shor mai wo bhag khaRa hota hai. Dus saal ba’ad us ki shadi hoti hai aur jab wo apni bewi ka ghunghat uthata hai to ussay apni bewi kay maathay per kissi puranay zakham ka nishaan dikhai paRta hai. Aur us kay puchnay per uss ki bewi ussay batati hai kay dus saal qabal jab wo apnay walad kay hamrah dukaan per baiTthi thhi kay aik namaloom shakhs nai kulhaRay say war kiya aur bhag gaya. Zakham ussi chot ka natija hai. Zindagi thhi kay bach gai. Magar aaj tak maloom na ho paya kay uss shakhs ko ham say kya purkhash thhi.
JoRay aasmanouN per zaroor bantay hoNgay laikin zameen per unn kay milan kay liaay dermayani pul zaroorat paRti hai. Wo aaj kal shadi daftarooN, shadi karwanay walooN, akhbari ishtaharat ya deegar zaraae ki shakal maiN muyassar hai. Mai souchta thha kay yea zaraae siraf mashriq hi mai karaamand haiN kay maghrib ki society mai laRka laRki apna apna barr khud hi dhond laytay hai. Laikin jab mai nay pichhlay dinnouN Wallstreet Journal mai shadi adarouN kay baray mai eik mazmoon paRha to mujhay yaqinan hairangi huwi. Ess mazmoon kay mutabik shadi dafter paNch sou million dollar ka business rakhtay hai. Dilchasp baat yea thhi kay aaj kal inn adarooN kay baRhtay huway gahak wo bachay thhay jo apnay waldayn ko talak, baywagi ya randway pan say paida honay wali tunhai say bachanay kay liaay unn ki shadi kay liaay inn adarouN say rajhu kar rahai haiN. Shadi adarooN kay liaay bhi business ka bahRta huwa yea naya rujhaan hairankun hai kay payhlay walydayn apnay bachouN kay liaay rishtay talash kartay yea karwatay thhay abb bachay maaN baap kay liaay barr dhundtay haiN. Hamaray muashray kay liaay bhi yea baharhal ek baRa hi ajeeb qissa hai.
Chand saal payhlay mairay ek doost jo aaj kal Germany mai muqeem hai ki walda ka inteqal huwa to unn kay walid Pakistan mai bilkul tanhaa say ho gai kyouN kay wo tamam kay tamam bayhan bhai bayroun-e-watan muqeem thhay. Walida kay inteqal per jab wo sab Lahore aaye tou chehlam kay baad apnay walid kay akaylaypan ko mahsoos kartay huway baitiooN nai apnay walid kay liaay rishta dhunda aur unn ki shadi karwa di aur ess tarha wo sab apnay walid ki taraf say mutmain ho kar apnay apnay eqamati mumalik ko lout gae. Wo shayd Europe maiN rayhtay thhay ess liaay un ki souch mai zindagi ka kuchh rang haqaeq ka bhi chahR chuka thha.
Ess kay bar-aks mujhay ess baat ka bhi mushahida hai eik aurat nai apni tamam umar apnay bachouN kay liaay waqf kar di. Apni jawani tayag kar bachouN ko paala aur wo sab baRay ho kar bahar kay mumalik mai jaa basay. BaRee Bi umar kay aakhri hissay mai Khuda kay ghar ziyarat ko gaeeN. Duraane safar bemar howeeN. Eik baba ji nai un ki temardari ki aur yea temardari mustakil rafaqat mai badal gai. BachouN nai iss baat per shadeed narazgi ka izhar kya aur yea soucha kay shayd baba ji ki aankhh jayedad per hai halakay baat bahmi tanhai ki thhi jissay bachouN nai kissi bhi taor mahsoos nahi kiya thha. Aur phir muashrati dabao nai tufan khhaRa kar diya jis nai baRee bi say unn ki jawani tayagnay ka saara credit chheen lia. Halakay baRee bi kay tamaam bachay maghrabi mumalik mai muqeem thhay.
Essi tara meray eik dosat kay bayhnoe ki walada ka inteqal huwa to un kay walid nai apnay taor phir say shadi kar li. Apnay walid kay iqdam ko unhooN nai qabool na kiya aur apnay taor per un say taaluk hi toR lia. Aur wo youN kay Saudi Arab rayhtay huway Pakistan jana hi bund kar diya aur phir kissi dusray shahr mai ghar bana kar apnay aap ko waha muntakil kar lia jo yaqinan eik shadeed qadam thha. Baharhaal wo iss mozooN per koe baat karnay ya sunnanay per kabhi razi na huway.
Meray ek aur dost ki walida ka inteqal huwa. Walid bilkul tanha rayh gae. BetiaaN biahi gai thheeN aur betay mulazmat kay silsilay mai bahar muqeem thhay. Apnay walid ki tanhai ko mad-e-nazar rakhtay huway uss nai apnay behan bhaiyoN ko walid ki shadi kar denay ka mashwara diya to unn sab nai uss ki wo durgat banai kay Alaamaan Alhafeez.
Yea apni jagah ek haqeeqat hai hamaray yahaaN masayel moashrati to hai magar maali bhi haiN. JahaaN kahiN moashrati qadghan na ho wahaaN maali mushkilat ho sakti haiN. Meray ek dost kay walid aksar kaha kartay thhay kay beta …….. ek baap baarah bachay paal sakta hai magar baarah bachay mil kar ek baap ko nahi paal saktay. Uss waqt mujhay itni samajh nahi thhi laikin abb iss baat ki sachai ka ehsaas hota hi nahi balkay aksar dikhhai bhi day jaata hai. Log aksar yea khayal kartay haiN kay roti kapRa duwa daroo hi ka dhayan karna bohat hai jab kay aur bhi bohat kuchh hota hai jis ka idraak her koe nahi kar paata.