Discussions Editorial Forum
Editorial Humour Short Story Folklore Voice It
Book Review Health & Fitness Prev Issue Next Issue

Monday, April 7, 2003
MohabatouN Kay Bartao (Urdu)
- Moizullah Tariq Malik

Moizullah Tariq Malik works in an airline industry. He says reading and writing are more than a hobby to him.
Click here to read Moizullah Tariq Malik's poems on SAWF.

Click here to read the article in urdu font



Meray dost bataa rahay thhay kay do saal qabl Canada say jab un kay qareebi aziz Pakistan shadi mai shirkat kay lia aae tou Karachi mai qayaam kay doraan unn ki laRki traffic hadisa ka shikar ho gae. Hadisa shadeed thha. LaRki zakhmi huwe aur androuni chotooN kay bais coma mai chali gae. Karachi kay bayhtreen hospital mai uss ka elaaj hota raha. Baydraigh paisa kharch huwa lakin jab mareez ki haalat mai kissi qisam ki bahali nazar na aai tou family nai intahai dilbardashta ho kar Canadian wazir-e-azam say madad ki darkhwast ki. Bohat say log Karachi mai unn kay iss iqdam ko apnay muqami tajrubaat ki roshni mai ek koshish-e-baykar kahtay rahay aur yea baat unn kay liay yaqinan ghair mutawaqo thhee magar unn kay saamany apnay eik aam shehri ki awaaz pay labaik kayhta huwa Canada ki hakumat ka khasusi tibbi tayyara Karachi aaya aur apnay mareez shehri ko lay kar Canada perwaaz kar gaya. Yea iss baat k a wazey saboot thha jo Canada ki hakumat nai amallan paish keya kay wo apnay shehriooN kay haq-o-ehtraam mai na to koe imtiaz barati hai aur na hi iss ziman mai kissi hichkichahat ka muzahayra karti hai.

Canada mai elaj ka tasalsul barqarar huwa. Ek tuweel jid-o-johad kay baad laRki per coma ka asar to toot gaya laikin falaj nai sewae aaNkheeN khholnay, daikhhnay, sunnanay samajhnay say ziyadah ki ijazat na di. Elaj aaj bhi jaari hai. Khaandaan wahaN zahni, qalbi aur jismani dabao mai to yaqinan hai laikin maali dabao mai hergiz nahi aur iss kay liay Canada ki hakumat yaqinan sitaaish ki mustahik hai.

Hamari guftugu ka mahwar darassal waldayn ki zaat thhi aur baat say hasb-e-maamoul baat nikalti chali gae. Ess saari roudad mai darassal tazkara laRki ki walidah ka thha kay wo arsaa do saal say waqt kay ek aisay daeray mai chakar khha rahi hai jo siraf maaN hi kar sakti hai yaani subh aathh say raat baraa bajay tak ki duty aur wo bhi bilaa nagha.

Mai jitna ziyada souchta jaata hooN mujhay utna hi apnay ander uthhti huwe iss souch ki pukhta khayali ka yaqeen hota jaata hai kay mohabat ka zamzama jo amummi tour per walidayn ki taraf say aulad ki simmat bayhta hai uss ka ashr-e-asheer bhi aulad unn ki janab palta nahi paati. HaaN albataa ussay aap eik silsila kayh saktay hai kay mohabat kay yea darya apnay bahao per hi rayhta hai aur apni hi simmat per. Walidayn ki di gae mohabat aulad der aulad muntakil hoti jaati hai peechhay ko nahi palat-ti.

Bayhn bhayouN ki mohabat bhi misali ho sakti hai aur hoti bhi hai laikin walidayn ki mohabat kay aagay iss ki koe haqiqat nahi. Meray walid kay mamooN ka eik bayta apni paydaish hi say damaghi adam tuwazan ka hamil thha. Jab tak meray mamooN kay walid hayat rahay wo unn kay saath raha. Unn ki wafaat kay kuchh arsa baad jab uss per dourooN ki shiddat baRhi to ussay pagal khanay dakhil karwa diya gaya. Mai bhi kae dafaa ussay apnay chacha kay hamrah ussay milnay gaya. Uss ka zayhn, uss ki yadaashtaiN jab say wo ghar say door huwa uss waqt ki garift mai rahiN. Wo unn bandouN ko hi yaad karta raha jin kay saath uss ka waqt guzra thha. Ek arsay kay baad chacha ussay phir gh ar lay aae. Aur phir wo ek din sab ko chhoR kar unheeN kay paas chala gaya jin kay naam uss ki zuban per thhay magar wo unn ko dobara daikhh na paya thha. Uss kay saath ham sub ko mohabat thhi laikin shayed apni zaat say hamari mohabat kuchh zayada rahi aur yehi farak hai walidayn ki mohabat aur deegar mohabatouN kay bartao mai.

View and Post comment on this article

The contents of the article are Copyright © of the author and may not be reproduced in any form without prior written permission from the author.