Discussions Editorial Forum
Editorial Humour Health & Fitness Book Review Voice It
Interview Prev Issue Next Issue

Monday, March 10, 2003
Khandani Mansubabandi Aur Brain Drain (Urdu)
- Moizullah Tariq Malik

Moizullah Tariq Malik works in an airline industry. He says reading and writing are more than a hobby to him.
Click here to read Moizullah Tariq Malik's poems on SAWF.

Click here to read the article in urdu font

Meree khala kay do hi bachay haiN (Khuda un per Apna karam rakhay) - DonouN hi baRay achhay haiN aur mujhay aziz bhi. Mera bachpan un kay walaidayn kay zair-e-saaya aur un ka bachpan meray zair-e-asar guzra hai layhaza apas maiN hadd darja unsiat bhi hai pyar bhi hai raghbat bhi aur lagao bhi. Eik nai to Pakistan mai paRhai mukamal ki aur mazeed paRhnay kay naam per America chala gaya. Dusray nai her tarha ki koshish ki kay koe kaam kar lay ya noukri magar jab kuchh ban na paya to uss nai bhi bahar ki raah li aur bilaakhir wo bhi America bhai kay paas ja pohncha. Abb dono waheeN mukeem haiN. Khush-o-khuram haiN. WaheeN shadiaN kar chukay haiN. Dono ki biwiaN waheeN ki rahnay wali haiN. Aur un ki baqya zindagi bhi abb shayed waheeN katay magar waldayn apni aulad ko duaeeN daitay haiN aur apni umar kay iss hisay ko apnay balbutay per khainch rahay haiN jis maiN aulad ki zarorat mahsoos ki jaati hai ya hamari muashrati qadraiN iss kami ka shidat say ehsas dilati rahti haiN. Baharhal iss saaray qissay mai iss mafrouzay ka aksar zikr-e-khair hota rahta hai kay agar unn kay haaN bachay do say ziada hotay tou shayed koe aik unn ki daykhbhal ko moujood hota.

Baat chal nikli hai khandani mansuba bandi ki taraf aur sawal yea uTthta hai kay khandani mansubabandi per teesri duniya kay mumalik mai arsa daraz say kaam ho raha hai aur jis qadar muashi zarae iss kaam kay liay mukhtas kiay gae iss tanasab say agar uss ki karkardagi (jo yaqinan abadi kay azafay kay hawalay say hi maapi ja sakti hai) kyouN nazar nahi aati? Kuchh logooN ka yea khayal hai kay agar khandani mansubabandi na hoti to shayed abadi ki raftar tabah kun hadd tak baRh jaati. Magar ba'az iss baat ko tasleem nahi kartay aur khandani mansubabandi ko moashiat aur taleem say joRtay haiN.

Kuchh logoN ki raye yea hai kay jaisay jamhuriat ko her jagah kay moashrati, moashi aur sakafti pasmanzar kay mutabik dhal kar nafaz keya jana chahiay waisay hi hamaiN khandani mansubabandi per bhi sanjeedgi say kaam karna chahiay aur ess kay liay munasab itlaqi atwar apnanay chahiaiN. Ess fikr-o-nazar ko sciencee buniyadooN per ustawar keya jaana chahiay. Agar hamray majouda set-up say nataej hosla afza nahi to yaqinan uss ki wajouhat bhi haiN. Aur kuchh logoN kay nazdeek khandani mansubabandi per kharch keya gaya sarmaya agar samaji, moushrati, taleemi aur moashi taraqi per kharch hota aur bayhtar andaz say huwa hota tou yaqinan uss kay achhay asrat numayaaN hotay.

YouN bhi agar dekha jae tou khandani mansubabandi ka brahairast samjhnay say nahi samjhae jaanay say hai. Maghrabi mumalik mai zindagi ki douR mai miaN biwi dono ko kaam karna paRta hai. NoukroN ki sahulat bhi muyasar nahi tou unn ko bachouN kay liay azkhud planning karna paRti hai. HalaNkay wahaN ki bohat si hakumataiN maooN ko khaterkhwa sahultaiN muhayya karti haiN. Mager ess kay bawajoud wahaN ki abaadi mai izafay ki sharaa khatarnak hadd tak gir chuki hai. Kaha jaata hai kay abaadi mai kami ka rujhan siraf safaid faam abaadi hi mai hai. Ess kay baraks gandami, kalay aur peelay abaadgarooN ki abaadi mai baRhaway ki sharaa mutasar nahi hoe. Tabhi to America kay eik mashour danishwar, qalamqar jo Ex American President Nixon kay taqreer nagar bhi rayh chukay hai say mansub hai kay Europe aanay walay waqt mai apni safaid faam haiyyat kho day ga.

Bohat say maeshiat kay mahar insani abaadi ko bhi jins ka darja daitay haiN. Aur unn kay bakoul insani jins ki munasab nash-o-numaa aur mandiooN kay rujhanaat kay mutabik tarbiat day kar unhaiN unn mumalik ko baraamad keya ja sakay ga jahaN abaadi mai kami kay bais afradi quwat mutasar hoti dikhae day rahi hai. Bohat mumkin hai kay abaadi ki kami kay shakar apnay immigration qawaneen mai tarameem kar kay insani jins ki baramdi policy mai apni abaadi kay tahafaz ka munasab ehtamam kar laiN.

Brain drain ki istalaa teesri dunniya mai kuchh ziyadi hi istamal hoti hai. Halakay pichhli do teen dahayooN say wahaN ki afradi quwat nai apnay aap ko azkhud jins ka darja day rakha hai. Moashi zaroratooN kay tayhat baharhal teesri dunniya kay mumalik sarkari sataa per bhi apnay brain ko drain (beramad) karnay ki bharpor koshishaiN kar rahai haiN. Waqt nai sabat keya hai kay brain drain mulkouN kay liay nuksaan dayh nahi. Balkay yea to apnay apnay mulkooN kay laiy siasi, samaji aur maali baytri lay kar aaya hai. Teesri dunniya kay log maghrab mai apna apna asr-o-rasoukh baRhanai, unn mumalik ki policiooN mai tabdiliaN lanay. Apnai tajarat ko unn mumalik mai ustwar karnay aur degar muamlat mai muawanat hasal karnay mai agar kamyab ho pae hai to yea mahaz wahaaN per bassay huway unn kay logoN kay bais hi mumkin hua hai. JinhaiN unn mumalik kay bohat say danishwaroo nai brain drain qarar day kar mulk kay liay nuksandayh qarar diya thha. Magar abb wo maghrabi mumalik mai electrol college ka hissa bann kar apnay apnay mumalik kay liay eik moasar labbi ban gae haiN. Yehi tarkeen-e-watan apnay apnay mumalik say tajarti ashya ki khapat ka bais bhi huway hai. Ess liay pichhli dahaiyooN mai kayhlaya janay wala brain drain ajj eik kamayab investment ki shakal mai samany aaya hai.

Abb baat hai kam bachouN ki, khandani mansubabandi ki ya bahtar tarbiat day kar abaadi ki azaafi sharaa ko baramadd karnay ki. Jahan mulk bayhtar mansubabandi na kar rahay houN wahaN abaadi say ess qisam ki tuwaqoo rakhna hi bayqar hai. Hamaray haaN abaadi ki sharaa gharibouN hi mai baRh rahi hai aur wajaa bhi sarihan moashi hai. Jaisay ham wo pouday lagatay haiN jo jaldi phhal dainay lagaiN bilkul ussi taraa gharib waldain bhi souchtay hai kay unn ki aulad hi unn kay liay eik aisa moashi irtaka ka zariya hai jo paanch chhay saal hi mai unn ko phhal daynay lagti hai. Unn ki kamae mai hissadar bann jaati hai.

Baat hai khandani mansubabandi ki, uss per uTthae jaanay walay ikhrajaat ki, magar kya teesri dunniya kay mulk apni abaadi ko mahaz khandani mansubabandi kay elanaat hi say bayhtar nataej hasal kar sakaiN gay ya unhaiN ess mansubasaazi ko taleem aur moashi taraki kay saath saath lay kar chalna ho ga - yehi wo sawal hai jisay tuwajo ki zarorat hai.

View and Post comment on this article

The contents of the article are Copyright © of the author and may not be reproduced in any form without prior written permission from the author.