Monday, Feb. 3, 2003
Ishq Kal Aur Aaj Kay Tanazur MaiN (Urdu) - Moizullah Tariq MalikMoizullah Tariq Malik works in an airline industry. He says reading and writing are more than a hobby to him.
Click here to read Moizullah Tariq Malik's poems on SAWF.
|
 |
Ishq ki ziyada tar kahaniaN yahi batati haiN kay jab ushaaq apas maiN mil nahi paatay tou eik dusray par apni zindagi nisar kar kay ishq ko zindagi day jaatay haiN. Jin ushaaq ka milaap mumkin ho paata hai unn ki kahaniouN ka anjam “aur wo hassi khushi rahnay lagay” kay alfaaz per aa khatam hota hai. Her kahani hasoul-e-mahboob ko anjaam khayal karti hai aur milaap kay ba’d ki zindagi ko ghair aham gardaan kar chhoR dia jaata hai. HalaaNkay ishq da dusra imtehan tou milaap kay ba’d hi shuru hota hai jis per yeah kahaniaaN koe roshni nahi dalteeN. Aur shayed essay zindagi ba’d mout ki tarah sab ko apni apni souch kay mutabiq ess per souchnay kay liay azaad chhoR dia jaata hai.
Abb agar tarikh ess ziman mai khuchh na kahay to yehi surat saamnay rayh jaati hai kay milaap kay ba’d ki zindagi parakhhnay kay liay agar puranay ushaaq ka record muyassar nahi to aaj kay kamayab ushaaq ki zindagi per nazar doRaee jae ta kay yeah dekhha jaa sakay kay pyar apni hassulay murad say payhlay aur ba’d ki kya shakal paysh karta hai. Waisay logooN ko lafz-e-ishq say apnay walahana lagao kay bayes pura haq hai kay wo ess saaray muamlay ko ishq ki tazheeq gardaantay huway radd kar dayn ya phhir “Aql ayyar hai sou bhais badal layti hai” kay masdaaq her baat ko apni tarjehaat o tojeehat ki nazar say dekhhaiN, samjhaiN aur bayaan karaiN.
Baharhaal jabb mai apnay gardonawaaN mai nazar doRata hooN tou wo ashiq jo apnay ishq kay abtidaeay mai kamayab karar pae who intehaeay mai ishq ko bhol kar rozmarraah ki chikh chikh maiN mubtila ho chukay haiN. Kae eik to apni januni kayfiat ko baithay koss rahay haiN kay ishq nai aankhaiN bund keay rakhheeN aur jab aankhh khhuli to surat hi dusree niklee. ZaroorataiN jazbaat par haawee ho jaayaa karti haiN. Aur shayed yehi haqqat bhi hai kay mizaj bhi to apnay ander tabdeeli ka ansar rakhhta hai. Jaisay souch, khayal, fahaym, firasat aur basirat jab apna wajood baRhatay haiN to apnay ander hatalmaqdor wussa’t bhi latay haiN.
Yeah alag bahays hai kay jo log apni pasand aur lagao kay hasool maiN kamayab huway wo kis darjah kay ashiq thhay. Magar haqqat yahi hai kay ishq apnay ander deyomalai atwar rakhhta hai. Jis ki koe tashreeh nahi ki jaa sakti. Essi liay zindagi ishq kay baray mai mahaz unn tasawarati aur takhayyulati ashkal hi ko apnay irdgird sajati rayhti hai jo asal say shayed mail nahi khhaateeN. YouN bhi haqqat say farar hi to zindagi ki talkhiyooN say bachnay ki sab say mahfouz panahgah samjhi jaati hai aur baharhal yeah bhi to ho sakta hai kay ishq ki aisi kahaniaN dilbari aur diljoe kay liay wajood maiN lai gai hooN.
Mairay mushahaday maiN youN to bohat say ushaaq ki asli aur sachi kahaniaN haiN jaisay ek ashiq samaj say baghawat ki, khoob laRayaaN moul leeN. Bohat si dushwar aur kaTthan rahooN say guzar kar bilaakhir uss nai apni mohabat ko paa lia. Shaadi huwe to khaandan ki tadaad baRee laikin aamdani maiN azafa na ho saka to ishq maiN batadreej kami waqya honay lagi. Zindagi ki degar hajaat, zaroriat aur zimadariooN nai pyar ko passé-pusht daal dia. Pyar ko kosnay milnay lagay. Aur dono uss waqt ko rotay nazar aaye jab unn maiN pyar huwa thha kay……..aur bhi gham haiN zamanay maiN mohabat kay siwaa - rahataiN aur bhi haiN wasal ki rahat kay siwa ……
Agar sufiana istelah maiN majazi raastay say guzar kar apni haqaqi manzil ko jaanay ki raah hai to phhir shayed duniyaa say bayraghbati hi kay liay ishq-e-majazi maiN nakami zarori khayal ki jaati rahi ho jiss ki hasiat aaj ki amli zindagi maiN bohat souN kay nazdeek ek puranay khayal say zayada nahi.
Ishq baharhal aaj ki zindagi maiN bhi haqiqat say ziyada ek afsanawi istelaah hi samjhi jaati hai. Waisay zindagi ki sachae to dar asal ishq kay moamlat ko rawaiti pyar-o-mohabat say hat kar daykhti hai. Ishq to mohabat aur mahweyat ka dusra naam hai. Aur ess ko siraf do zindagiooN maiN mahdood kar kay nahi jaaNchaa ja sakta. Aur agar issay dunniya kay taweel-o-areez ahatay per phhaylaya jae tou ess kay mafhoom ziyada bayhter aur wazay shakal maiN saamnay aa saktay haiN. Eik baat jo bahartour haqiqat say qareeb tareen hai wo hai samajh, faham aur bardashat karnay ki quwat – yeah quwat hi dar-asal ishq ka dusra naam hai jo pyar aur mohabat kay phhaylao kay liay ek buniyaadi amar hai aur aaj ki duniyaa maiN issi quwat ko baydar karnay ki ashhad zarorat hai.
View and Post comment on this article
The contents of the article are Copyright © of the author and may not be reproduced in any form without prior written permission from the author.
|